Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Wednesday, October 27, 2010

ik baat kahoon gar sunte ho

"TUM MUJH KO ACHAY LAGTAY HO''

ik baat kahoon gar sunte ho,
tum mujh ko ache lagtay ho,
kuch chanchal say,
kuch chup chup say
kuch pagal pagal lagtay ho,
hamain chahnay walay aur buhat,
par tum may hai ik baat buhat,
tum apnay apnay lagtay ho
ik baat kahoon gar suntay ho,
tum mujh ko achay lagtay ho,
yeh baat baat pay kho jana,
kuch kehtay kehtay ruk jana,
yeh kis uljhan may rehtay ho,
ik baat kahoon gar suntay ho
"TUM MUJH KO ACHAY LAGTAY HO''
(UNKNOWN)
=====================

AGAR KABHI MERI YAAD AAYE...

agar kabhi meri yaad aaye...
to chand ratoon ki nurm dilgeer roshni main
kisi sitarey ko daikh laina
agar woh nakhl-e-falak se urh kar
tumharey qadmoon main aa girey to
yeh jaan laina, woh ista'aara tha mere dil ka
agar na aaye...
magar, yeh mumkin hi kis tarah hai
kay tum kisi par nigaah dalo
to uss ki diwar-e-jaan na tootey...
woh apni hasti na bhool jayey...
guraiz karti hawa ki lehroon pe haath rakhna
main oos qatroon kay aainoon main tumhain miloon ga,
mujhe gulaboon ki pattiyoon main talash karna
agar sitaroon main, oos qatroon main,
khushbo'oon main na pao mujh ko,
to apne kadmoon main daikh laina
main gurd hoti musafatoon main tumhain miloon ga
kahin pey roshan chiragh daikho, to jaan laina
k har patingay kay saath main bhi bikhar chuka hoon
tum apney haathoon sey in patingoon ki,
khaaq darya main daal daina...
main khaaq ban kar samandaroon main safar karoon ga,
kisi na daikhey hoye jazeeray pe,
ruk k tum ko sadain doon ga
samandaroon k safar pe niklo to uss jazeeray pe bhi utarna...

~AMJAD ISLAM AMJAD~


ZINDAGI KE MELEY MAIN


Zindagi key meley main
Khuaahishoon key reley main
Tum se kiya kahein jaanaa
Is qadar jhamele main
Waqt ki ravani hai
Bakht ki giraani hai
Sakht bezamini hai
Sakht laamakaani hai
Hijr ke samandar main
Takht aur takhte ki
Aik hi kahaani hai
Tum ko jo sunaani hai
Baat go zaraa si hai
Baat umr bhar ki hai
Umr bhar kii baatein kab
Do ghari main hotii hain
Dard ke samandar main
Anginat jaziiren hain
Beshumaar moti hain
Ankh ke dariiche main
Tum ne jo sajaayaa tha
Baat us diye ki hai
Baat us giley ki hai
Jo lahoo ki khilvat main
Chor ban ke aataa hai
Lafz ke fasiloon par
Tuut tuut jaataa hai
Zindagi se lambi hai
Baat rat_jage ki hai
Raaste mainn kaisey ho
Baat takhaliye ki hai
Takhaliye ki baatoon main
Guftagoo izaafi hai
Pyaar karane waloon ko
Aik nigaah kaafi hai
Ho sakey to sun jaao
Aik din akeley main
Tum se kiya kahen jaanaanaIs qadar jhameley main


~AMJAD ISLAM AMJAD~

CHAAND KAY SAATH

Chaand kay saath kai dard puraanay nikalay
Kitanay gham thay jo tairay gham kay bahaanay nikalay
Fasl-e gul aaee phir ikk baar asiiraan-e-vafaa
Apanay hii khuun kay dariyaa mein nahaanay nikalay
Hijr ki chot ajab sang-shikan hotii hai
Dil kii bayfaiz zameenon say khazaanay nikalay
Umer guzaree hai shab-e-taar mein aankhein malatay
Kis ufaq say mairaa khursheed naa jaanay nikalay
Koo-e-qaatil mein chalay jaisay shaheedon kaa juluus
Khuwaab yuun bheegatee aankhon ko sajaanay nikalay
Dil nay ikk eentt say taameer kiyaa taaj mahal
Tuu nay ikk baat kahii laakh fasaanay nikalay
Dasht-e tanhaaee-e-hijraab mein kharaa sochataa huun
Haaye kyaa log meraa saath nibhaanay nikalay
Main nay 'amjad' usay baivaastaa dekhaa hii nahin
Who tau khushbuu mein bhii aahat kay bahaanay nikalay


(UNKNOWN)

CHEHARE PE MERE ZULF KO PHAILAAO KISII DIN

Chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
Kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din
Raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab
Dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din
Pe.do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.n
Baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din
Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
Phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din
Phir haath ko khairaat mile band-e-qabaa kii
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din
Guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare
Is tarah merii raat ko chamakaao kisii din
Mai.n apanii har ik saa.ns usii raat ko de duu.n
Sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din

~WASHI SHAH~

Phir majhey tere anchal ki yaad aye maa

Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke
Phir majhey tere anchal ki yaad aye maa

Main kitna badnaseeb hoon
Logo se piyaar maanga maine Mile mujhey Tanhai
Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya

Aur main teri hi kadar na kar saka maa
BadGumani mein har ek ko maine Seena se lagaya

Bus Badnaseebi to dheko bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa
Duniya ki ranginyon mein kohya raha

bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha
Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha

Main badnaseeb teri maafi ka kabil bhi na raha
Jab Hosh mein aya To maloom hua ke
kio apna nehi bus tere siwa maa

Teri goud main sar rakh ke ro ro ke mout-e-faryad ki dua ki
Maa na rote rote apni zindagi apni khushiya bhi mere naam ki

Main Kitna beaqal kamzarf hoon
Tera khwab bhi pura na kar saka main tere leya kuch bhi na kar saka maa

Maine kitne dhuk deya
Aur tuney uff tak na ki maa

tuney kabhi na saath chora
Na kabhi kuch kaha majhey tuney maa

bus ek khwab hai zindagi ka
beshak kuch mile na mile

main kuch bano ya na bano
bus ek arman hai zindagi ka

Main ek dafa teri goad main sar rakh so sako maa
woh sakoon-e-neend pana chahta hoon maa

Bohat dard ho raha hai maa
apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do maa